Raat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye
Jaise sahraon mein haule se chale baad-ae-naseem
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye
(Faiz Ahmed faiz )
Tuesday, 14 March 2017
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai aur tujh say bichar janay ka dar bhi nahin jata
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai
aur tujh say bichar janay ka dar bhi nahin jata
( Ahmed Faraz)
aur tujh say bichar janay ka dar bhi nahin jata
( Ahmed Faraz)
Monday, 13 March 2017
be-dam hue bimar dava kiyon nahin dete
be-dam hue bimar dava kyuun nahin dete
tum achay masiha ho shifa kyuun nahin dete
dard-e-shab-e-hijran kī jaza kyuun nahīñ dete
ḳhūn-e-dil-e-vahshī kā silā kyuuñ nahīñ dete
miT jaegimaḳhluq to insaf karoge
munsif ho to ab hashr uTha kyuuñ nahīñ dete
haañ nukta-varo laao lab o dil kī gavahi
haañ naġhmagaro sāz-e-sadā kyuuñ nahīñ dete
paimān-e-junūñ hāthoñ ko sharmā.egā kab tak
dil vaalo girebāñ kā patā kyuuñ nahīñ dete
barbadi-e-dil jabr nahīñ 'faiz' kisī kā
woh dushman-e-jāñ hai to bhulā kyuuñ nahīñ dete
( Faiz Ahmed Faiz )
ab ke hum bichray to shayad kabhi ḳhawbon mein milen
ab ke ham bichraye to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ
jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ
DhūñD ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī
ye ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ
ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo
nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ
tū ḳhudā hai na mirā ishq farishtoñ jaisā
donoñ insāñ haiñ to kyuuñ itne hijāboñ meñ mileñ
aaj ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par
kyā ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ
ab na vo maiñ na vo tū hai na vo maazī hai 'farāz'
jaise do saa.e tamannā ke sarāboñ meñ mileñ
Ankh sy door na ho dil say utar jaega
aankh se duur na ho dil se utar jaega
vaqt kā kyā hai guzartā hai guzar jā.egā
itnā mānūs na ho ḳhalvat-e-ġham se apnī
tū kabhī ḳhud ko bhī dekhegā to Dar jā.egā
Dūbte Dūbte kashtī ko uchhālā de duuñ
maiñ nahīñ koī to sāhil pe utar jā.egā
zindagī terī atā hai to ye jaane vaalā
terī baḳhshish tirī dahlīz pe dhar jā.egā
zabt lāzim hai magar dukh hai qayāmat kā 'farāz'
zālim ab ke bhī na ro.egā to mar jā.egā
rangish he sahi dil he dukhany ke liye aa
ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa
aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa
kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa
pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to
rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
ik umr se huuñ lazzat-e-girya se bhī mahrūm
ai rāhat-e-jāñ mujh ko rulāne ke liye aa
ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ ummīdeñ
ye āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa
( Ahmed Faraz )
Is say pehly k bewafa ho jaein kiyon na aey dost hum juda ho jaein
Is say pehly k bewafa ho jaein
kiyon na aey dost hum juda ho jaein
Tou bhi heeray say ban gya pathar
hum bhi kal janay kya say kya ho jaein
Tou k yakta tha beshumar huwa
hum bhi tootain to ja-ba-ja ho jaein
Hum bhi majbooriyon ka uz'r karein
phir kahein or mubtala ho jaein
Hum agar manzilain na ban paye
manzilon tak ka raasta ho jaein
Dair say soch mei hain parwanay
rakh ho jaein ya hawa ho jaein
Ishq bhi khail ha naseebon ka
khaak ho jaein keemiya ho jaein
Ab k gar tou milay to hum tujh sy
lipat kar ter qaba ho jaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
kya karein log jab khuda ho jaein
( Faraz Ahmed Faraz )
kiyon na aey dost hum juda ho jaein
Tou bhi heeray say ban gya pathar
hum bhi kal janay kya say kya ho jaein
Tou k yakta tha beshumar huwa
hum bhi tootain to ja-ba-ja ho jaein
Hum bhi majbooriyon ka uz'r karein
phir kahein or mubtala ho jaein
Hum agar manzilain na ban paye
manzilon tak ka raasta ho jaein
Dair say soch mei hain parwanay
rakh ho jaein ya hawa ho jaein
Ishq bhi khail ha naseebon ka
khaak ho jaein keemiya ho jaein
Ab k gar tou milay to hum tujh sy
lipat kar ter qaba ho jaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
kya karein log jab khuda ho jaein
( Faraz Ahmed Faraz )
Ab kis ka jashan manatay ho
Ab kis ka jashan manatay ho
Us dais ka jo takseem huwa
ab kis ka geet sunatay ho
Us tan man ka jo do-neem huwa
( Faiz Ahmed Faiz )
Us dais ka jo takseem huwa
ab kis ka geet sunatay ho
Us tan man ka jo do-neem huwa
( Faiz Ahmed Faiz )
Subscribe to:
Posts (Atom)