be-dam hue bimar dava kyuun nahin dete
tum achay masiha ho shifa kyuun nahin dete
dard-e-shab-e-hijran kī jaza kyuun nahīñ dete
ḳhūn-e-dil-e-vahshī kā silā kyuuñ nahīñ dete
miT jaegimaḳhluq to insaf karoge
munsif ho to ab hashr uTha kyuuñ nahīñ dete
haañ nukta-varo laao lab o dil kī gavahi
haañ naġhmagaro sāz-e-sadā kyuuñ nahīñ dete
paimān-e-junūñ hāthoñ ko sharmā.egā kab tak
dil vaalo girebāñ kā patā kyuuñ nahīñ dete
barbadi-e-dil jabr nahīñ 'faiz' kisī kā
woh dushman-e-jāñ hai to bhulā kyuuñ nahīñ dete
( Faiz Ahmed Faiz )
No comments:
Post a Comment