Monday, 13 March 2017

Ankh sy door na ho dil say utar jaega

aankh se duur na ho dil se utar jaega
vaqt kyā hai guzartā hai guzar jā.egā
itnā mānūs na ho ḳhalvat-e-ġham se apnī
kabhī ḳhud ko bhī dekhegā to Dar jā.egā
Dūbte Dūbte kashtī ko uchhālā de duuñ
maiñ nahīñ koī to sāhil pe utar jā.egā
zindagī terī atā hai to ye jaane vaalā
terī baḳhshish tirī dahlīz pe dhar jā.egā
zabt lāzim hai magar dukh hai qayāmat 'farāz'
zālim ab ke bhī na ro.egā to mar jā.egā
                                                                                   ( Ahmed Faraz )

No comments:

Post a Comment